
Aaj ki raat poornima (Full Moon) ki thi—bhediyon ke liye faisle aur fanaa hone ki raat. Aasman mein chamakta hua vishal safed chand poore bungalow ko apni chandi jaisi thandi roshni mein naha raha tha. Par bungalow ke andar ka nazaara kisi jahannum ki aag jaisa garm tha.
Do saal ka woh sabr, woh pyaas aur woh tanaav aaj phatne wala tha. Professor Vikram ki ragon mein daudta hua 'Ark-Alpha' ka khoon ubal raha tha. Aaj raat unhone apni supernatural powers ko apne charam (peak) tak pahuncha diya tha.














Write a comment ...